Ab Na Kholo Mere Ghar Ke Udaas

 

हर तन्हा रात में एक नाम याद आता है,
कभी सुबह कभी शाम याद आता है,
जब सोचते हैं कर लें दोबारा मोहब्बत,
फिर पहली मोहब्बत का अंजाम याद आता है।
Har Tanha Raat Mein Ek Naam Yaad Aata Hai,
Kabhi Subhah To Kabhi Shaam Yaad Aata Hai,
Jab Sochte Hain Kar Lein Dobara Mohabbat,
Fir Pehli Mohabbat Ka Anzaam Yaad Aata Hai.


वो तेरे खत तेरी तस्वीर और सूखे फूल,
बहुत उदास करती हैं मुझको निशानियाँ तेरी।
Wo Tere Khat Teri Tasvir Aur Sookhe Phool,
Bahut Udaas Karti Hain Mujhko Nishaniyan Teri.

अब न खोलो मेरे घर के उदास दरवाज़े,
हवा का शोर मेरी उलझनें बढ़ा देता है।
Ab Na Kholo Mere Ghar Ke Udaas Darwaze,
Hawa Ka Shor Meri Uljhanein Bada Deta Hai.

चल मेरे हमनशीं अब कहीं और चल,
इस चमन में अब अपना गुजारा नहीं,
बात होती गुलों तक तो सह लेते हम,
अब काँटों पे भी हक हमारा नहीं।

Chal Mere Hum-Nashin Ab Kahin Aur Chal,
Iss Chaman Mein Ab Apna Gujaara Nahi,
Baat Hoti Gulon Tak To Seh Lete Hum,
Ab To Kaanton Pe Bhi Haq Humara Nahi.

एक ये ख्वाहिश के कोई ज़ख्म न देखे दिल का,
एक ये हसरत कि कोई देखने वाला तो होता।
Ek Ye Khwahish Ki Koi Zakhm Na Dekhe Dil Ka,
Ek Ye Hasrat Ke Koi Dekhne Wala To Hota.

सिर्फ चेहरे की उदासी से
भर आये तेरी आँखों में आँसू,
मेरे दिल का क्या आलम है
ये तो तू अभी जानता नहीं।
Sirf Chehre Ki Udaasi Se
Bhar Aaye Teri Aankhon Mein Aansoo,
Mere Dil Ka Kya Aalam Hai
Ye To Tu Abhi Jaanta Nahi.

टिप्पणियाँ